Sunday, 23 August 2020

Mai Baaghi Hoon

 Es Daur Ke Rasm-o-Riwajaun Se

In Taqton Se, In Tajaun Se
Jo Zulm Ki Kokh Se Jantey Hain Insaani Khoon Se Paltey Hain
Jo Nafrat Ki Buniyaadein Hain
Aur Khooni Khet Ki Khatey Hain
Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon
Jo Chahey Mujpar Zulm Karo
Jinke Hoont Ki Chubbish  Se
Wo Jinki Aankh Ki Larzish  Se
Khanoon Badaltey Rahtey Hain
Aur Mujrim Paltey Rahtey Hain
In Choron Ke Sardaron  Se
Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon
Jo Qaum Ke Gham Mein Rootey Hain
Aur Qaum Ki Daulat Dhotey Hain
Wo Mahalon Mein Jo Rahtey Hain
Aur Baat Ghareeb Ki Kahtey Hain
Un Dhokey Baaz Looteron Se
Sardaron Se Aur Wadderon  Se
Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon
Jo Aurat Ko Nachwatey Hain
Bazaar Ki Jeans banatey  Hai
Phir Iski Azmath Ke Gham Mein
Tahreekein bhi Chalwatey Hain
Un Zalim Aur Badhkaron Se
Bazaar Ke Un Maymaaron Se
Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon
Jo Maslak Ke Bayopari Hai
Wo Sab Se Badi Bimaari Hain
Wo Jinke Siwa Sab Kaafir Hain Un Jhootey Aur Makkaron Se
Mazhab Ke Thaykedaron Se
Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon
Jahan Saanson Par Taazirein Hain
Jahan Bighdi  Huwi Taqdeerein Hain
Daataun Ke Gorakh Dhandey Hain
Jahan Nafrat Ke Yeh Phandey Hain
Sonchon Ki Aisi Pasti Se
Es Zulm Ki Gandi Basti  Se
Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon
Jo Chahey Mujpar Zulm Karo
Mere Haath Mein Haq Ka Jhanda Hai
Mere Sar Par Zulm Ka Phanda Hai
Mai Marney Se Kab Darta Hoon
Mai Maut Ki Khatir Zinda Hoon
Mere Khoon Ka Suraj Chamkey Ga
Toh Baccha Baccha Boley Ga
Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon

No comments:

Post a Comment