Friday, 9 October 2020

TARBIYAT

 Aap ka Beta jab School jaaraha ho aur aap isay Ruqsat kar rahi hon toh iske tiffin mein khanay ki cheez do rakhein aur isse kahein : ek tumharay liye hai dusra tumharay sab se mehboob dost ke liye.

Is tarah aap ka Baccha mohabbat aur ahsaan ka sabaq seekhayga.


Bacchay ke bag mein khalam ek se  zyad rakhein aur issay kahein : agar koi student Apna khalam bhool jaye toh aap madad ke taur par yeh khalam isko de dena.

Is tarah aap ka Baccha apni zimmedaryan aur dusron ki madad karnay ka jazbah seekhayga.


Jab Baccha ghar wapas aaye toh issay batayein ke iske aanay se ghar wapas aaye toh issay batayein ke is tarah issay apni qadr o khimat ka andaza hoga.


Jab wo ghar lautay toh issay poochein : aaj aap ne sab se acha kaam kya kiya hai ?

Is tarah issay achay buray ki tameez hogi aur agli baar wo aap ke baghair poochay aap ko khud bataye gaa.


Tarbiyat ek saada aur asaan sa fun hai, zabaan se lambi chaudi taqreer karnay ka naam tarbiyat nahin hai

Tuesday, 29 September 2020

Behtareen Shohar ki Pehchan

✦ Behtareen Shohar ki Pehchan

 • Jo Apni Biwi ke sath narmi, khush khalqi aur husne sulook ke sath pesh aaye.

• Jo Apni Biwi ke Huqooq ada karne me kisi qism ki gaflat aur kotahi na kare.

• Jo Apni Biwi ka iss tarah ho ker rahen ke kisi ajnabi aurat per nigah na dale.

• Jo Apni Biwi ko apne Aish-O-Ishrat me barabar samjhe.

• Jo Apni Biwi per kabhi Zulm aur kisi Qism ki bhi Jyadati na kare.

• Jo Apni Biwi ki tang mizaji aur bad akhlaqi per sabr kare.

• Jo Apni Biwi ki khubiyo per Nazar rakhe aur mamuli galatiyon ko nazar andaz kare.

• Jo Apni Biwi ki musibaton, bimariyon aur ranj-o-gam me diljoi aur wafadari ka saboot de.

• Jo Apni Biwi ko parde me rakh kar Izzat-o-Aabru ki hifazat kare.

• Jo Apni Biwi ko zillat-o-ruswayi se bachaye rakhe.

• Jo Apni Biwi ko Deendari ki takeed karta rahe aur shari’at ki raah per chalaye.

• Jo Apni Biwi ke akhrajaat(kharche) me bakhili aur kanjoosi na kare.

• Jo Apni Biwi per iss tarah taabey me (Control) rakhe ke wo kisi burai ki taraf rukh bhi na kar sake.


In’sha’Allah-Ul-Azeez! Allah Rabbul Izzat Hum tamam ko kehne sun’ne se jyada amal ki toufiq de. Ameen!

Behtareen Biwi Ki Pehchan

 ✦ Behtareen Biwi Ki Pehchan

• Jo Apne Shohar ki farmabardari aur khidmat guzari ko apna farz-e-azeem samjhe.

• Jo Apne Shohar ke tamam huqooq ada karne me kotahi na karen.

• Jo Apne Shohar ki khubiyon per Nazar rakhe aur uske Aib aur Khamiyon ko nazar-andaz karti rahe.

• Jo Khud takleef utha kar Apne Shohar ko aaram pohchane ki humesha koshish karti rahe.

• Jo Apne Shohar se uski Aamdani se zyada ka mutaliba na kare aur jo mil jaye uspar Sabr-O-Shukr ke sath zindagi basar kare.

• Jo Apne Shohar ke siwa kisi Ajnabi Mard per nigah na dale na kisi ki nigah apne uper padhne de.

• Jo Parde me rahe aur Apne Shohar ki Izzat-O-Namoos ki hifazat kare.

• Jo Shohar ke Maal aur Makan-O-Saman aur khud Apni jaat ko Shohar ki amanat samajh ker har cheez ki hifazat-o-nigehbani karti rahe.

• Jo Apne Shohar ki Musibat me Apni Jani-O-Maali Qurbani ke sath wafadari ka saboot de.

• Jo Parhezgaari ki paband aur Deendaar ho, Huqooq Allah-O-Huqooq Ul Ibad ko ada karti ho.

• Jo Padosiyon(Aurto) aur milne julne waali Aurton yaani saas, nanand, sasurali rishtedar ke sath Khush Akhlaqi aur sharaft ka bartao kare.

• Jo Maika-O-Sasural dono Gharon me har dil Azeez aur Ba Izzat ho.

Sunday, 23 August 2020

Mai Baaghi Hoon

 Es Daur Ke Rasm-o-Riwajaun Se

In Taqton Se, In Tajaun Se
Jo Zulm Ki Kokh Se Jantey Hain Insaani Khoon Se Paltey Hain
Jo Nafrat Ki Buniyaadein Hain
Aur Khooni Khet Ki Khatey Hain
Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon
Jo Chahey Mujpar Zulm Karo
Jinke Hoont Ki Chubbish  Se
Wo Jinki Aankh Ki Larzish  Se
Khanoon Badaltey Rahtey Hain
Aur Mujrim Paltey Rahtey Hain
In Choron Ke Sardaron  Se
Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon
Jo Qaum Ke Gham Mein Rootey Hain
Aur Qaum Ki Daulat Dhotey Hain
Wo Mahalon Mein Jo Rahtey Hain
Aur Baat Ghareeb Ki Kahtey Hain
Un Dhokey Baaz Looteron Se
Sardaron Se Aur Wadderon  Se
Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon
Jo Aurat Ko Nachwatey Hain
Bazaar Ki Jeans banatey  Hai
Phir Iski Azmath Ke Gham Mein
Tahreekein bhi Chalwatey Hain
Un Zalim Aur Badhkaron Se
Bazaar Ke Un Maymaaron Se
Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon
Jo Maslak Ke Bayopari Hai
Wo Sab Se Badi Bimaari Hain
Wo Jinke Siwa Sab Kaafir Hain Un Jhootey Aur Makkaron Se
Mazhab Ke Thaykedaron Se
Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon
Jahan Saanson Par Taazirein Hain
Jahan Bighdi  Huwi Taqdeerein Hain
Daataun Ke Gorakh Dhandey Hain
Jahan Nafrat Ke Yeh Phandey Hain
Sonchon Ki Aisi Pasti Se
Es Zulm Ki Gandi Basti  Se
Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon
Jo Chahey Mujpar Zulm Karo
Mere Haath Mein Haq Ka Jhanda Hai
Mere Sar Par Zulm Ka Phanda Hai
Mai Marney Se Kab Darta Hoon
Mai Maut Ki Khatir Zinda Hoon
Mere Khoon Ka Suraj Chamkey Ga
Toh Baccha Baccha Boley Ga
Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon Mai Baaghi Hoon