Tuesday, 29 September 2020

Behtareen Shohar ki Pehchan

✦ Behtareen Shohar ki Pehchan

 • Jo Apni Biwi ke sath narmi, khush khalqi aur husne sulook ke sath pesh aaye.

• Jo Apni Biwi ke Huqooq ada karne me kisi qism ki gaflat aur kotahi na kare.

• Jo Apni Biwi ka iss tarah ho ker rahen ke kisi ajnabi aurat per nigah na dale.

• Jo Apni Biwi ko apne Aish-O-Ishrat me barabar samjhe.

• Jo Apni Biwi per kabhi Zulm aur kisi Qism ki bhi Jyadati na kare.

• Jo Apni Biwi ki tang mizaji aur bad akhlaqi per sabr kare.

• Jo Apni Biwi ki khubiyo per Nazar rakhe aur mamuli galatiyon ko nazar andaz kare.

• Jo Apni Biwi ki musibaton, bimariyon aur ranj-o-gam me diljoi aur wafadari ka saboot de.

• Jo Apni Biwi ko parde me rakh kar Izzat-o-Aabru ki hifazat kare.

• Jo Apni Biwi ko zillat-o-ruswayi se bachaye rakhe.

• Jo Apni Biwi ko Deendari ki takeed karta rahe aur shari’at ki raah per chalaye.

• Jo Apni Biwi ke akhrajaat(kharche) me bakhili aur kanjoosi na kare.

• Jo Apni Biwi per iss tarah taabey me (Control) rakhe ke wo kisi burai ki taraf rukh bhi na kar sake.


In’sha’Allah-Ul-Azeez! Allah Rabbul Izzat Hum tamam ko kehne sun’ne se jyada amal ki toufiq de. Ameen!

Behtareen Biwi Ki Pehchan

 ✦ Behtareen Biwi Ki Pehchan

• Jo Apne Shohar ki farmabardari aur khidmat guzari ko apna farz-e-azeem samjhe.

• Jo Apne Shohar ke tamam huqooq ada karne me kotahi na karen.

• Jo Apne Shohar ki khubiyon per Nazar rakhe aur uske Aib aur Khamiyon ko nazar-andaz karti rahe.

• Jo Khud takleef utha kar Apne Shohar ko aaram pohchane ki humesha koshish karti rahe.

• Jo Apne Shohar se uski Aamdani se zyada ka mutaliba na kare aur jo mil jaye uspar Sabr-O-Shukr ke sath zindagi basar kare.

• Jo Apne Shohar ke siwa kisi Ajnabi Mard per nigah na dale na kisi ki nigah apne uper padhne de.

• Jo Parde me rahe aur Apne Shohar ki Izzat-O-Namoos ki hifazat kare.

• Jo Shohar ke Maal aur Makan-O-Saman aur khud Apni jaat ko Shohar ki amanat samajh ker har cheez ki hifazat-o-nigehbani karti rahe.

• Jo Apne Shohar ki Musibat me Apni Jani-O-Maali Qurbani ke sath wafadari ka saboot de.

• Jo Parhezgaari ki paband aur Deendaar ho, Huqooq Allah-O-Huqooq Ul Ibad ko ada karti ho.

• Jo Padosiyon(Aurto) aur milne julne waali Aurton yaani saas, nanand, sasurali rishtedar ke sath Khush Akhlaqi aur sharaft ka bartao kare.

• Jo Maika-O-Sasural dono Gharon me har dil Azeez aur Ba Izzat ho.